Yeh JUST ANOTHER mail hai par isme Amitabh Bachchan ke dialogues use hue hain. Isliye ho sake to padh lo. The dialogues are from Deewar, Shakti, Agneepath and Kaante.
{Hostel mein subeh uth-te hi}
Bajpai: Bachcha tujhse ek baat karni hai. Par pehle yeh sutta pee le.
Noida: Pehle yeh batao baat karne ek dost aaya hai ya ek zaroorat-mand room-mate. Kyunki jab tak ek dost baat karega ek dost sunega. Jab ek zaroorat-mand insaan baat karega to udhaar niklega
Bajpai: Bachcha, tere is Rs 20/- ke cheque pe sign kar de. Udhaar chahiye.
Noida: Jao pehle Richa ka sign le ke aao jiske saath tujhe lunch pe jana hai
Jao pehle us auto-wale ka sign le ke aao jisko tujhe Rs 20/- ka auto bhada dena hai, kyunki baaki paise to Richa kharch karegi
Jao pehle un parents ka sign le ke aao jo hamare lavish lifestyle ko nahin samajhte
Phir mere dost, phir main kahin bhi sign karunga par is cheque par phir bhi nahin karunga
Bajpai: Uf tumhare usool, tumhare aadarsh. Kis kaam ke yeh sab agar ek zaroorat-mand dost ki madad nahin kar sakte
Noida: Aaj mere paas pink shirt hai, green jeans hai, 30 saal purane action ke shoes hain, gande baal hain, round spectacles hain. Tumhare paas kya hai
Bajpai: Bachcha. Mana mere paas kuch bhi 'Out-of-Fashion' nahin hai jaise tere paas hain. Par mere paas Mitesh hai.
Noida: Bajpai, maine bachpan mein ek kahaani suni thhi. Ek baar ek zaroorat-mand insaan ne 20 Rs bachaane ke liye hazaaron rupaiye wale dost ko dhokha de diya. Hua yeh ki usne 20 Rs to bachaa liye par hazaaron ganwaa baitha
Bajpai: Arre bachcha, main to mazaak kar raha thha
Noida: Main janta thha ti tum mazaak kar rahe thhe. Yeh le Rs 20/- hard chash.
Bajpai: Bachcha main aaj bhi pheke hue paise nahin uthhata.
Noida: Par yeh to udhaari hai. Utha le.
Bajpai: Theek hai lekin Bachcha tujhe udhaar dena nahin aata. Agar tu mujhe 10 Rs/- bhi deta to bhi mera kaam ho jata, kyunki auto ka min bhada to 10 Rs hai.
Noida: Udhaar lena to tujhe nahin aata Bajpai. Agar tu 20 ki jagah 30 Rs mangta to bhi main tujhe de deta. Sutta to mujhe tune hi pilana hai.
Bajpai: Bachcha, amount badhao. 20 Rs mein sala dil nahin jalta sutta kya jalega.
{Mobile Canteen mein}
Bajpai: Mobile canteen mein zara ek chai ho jaye.
{Shukla comes}
Shukla: Arre tum yahan ho.
Bajpai: Lee tum mujhe wahan dhoond rahe ho aur main tumhara yahan intezaar kar raha hun.
Shukla: Abe itna sutta mat piyo. Mar jaoge.
Bajpai: Jisne roz apne room-mate ko marte hue dekha ho use maut se kya dar lagega
{Shukla gets a call of (now) Mrs Shukla and says he is on his way to the college}
Shukla: Abe main jata hun. Zaroori kaam hai thoda.
Bajpai: Sala nautanki. Ghadi ghadi drama karta hai.
Noida: Sala yeh phone bhi kya cheez hai. Aadmi sochta kuch hai, bolta kuch hai, karta kuch hai. Jaise ki Lee.
{Then hagga Seth gets down from the auto and comes}
Hagga: Sala bachcha, tumka maar maar ke muh laal kar dem
Noida: Tes-ji, is umar mein haddiyan tut-ti hain to phir jud-ti badi mushkil se hain
Bajpai: Main kya bola thha. Yeh bachcha. Ek chingari. Kal ko aag ban gaya to sabki sulga dega. Tab hum kya karenge. Par tum log bole ki nahin. Hamara ehsaan mangea. Aaj ghus gaya na tumhare andar.
{Then our professor Nagesh comes}
Nagesh: Hey man. What is this. You are having Milds. Have Kings man. What you people....Thhuuu.
{By this time Shukla is back}
Noida: Kabhi yeh socha hai ki Nagesh hamaari hi izzat kyun utarta hai.
Hagga: Kyunki hamaare paas power nahin hai. Aaj yeh Machas and Sisyas itne organized hain ki inhe koi kuch bol nahin sakta. Sala jab bhi koi mass-bunk ya cheating during exams ka case aata hai to sabse pehle ungli hamaare upar hi uth-ti hai.
Noida: Iska ilaaj hai. Ab tak yeh cheaters ko pakadte thhe. Ab yeh khud cheat karwayenge.
Shukla: Tujhe kya lagta hai. Tu Nagesh ko bolega ki hamein cheat karne do aur woh tujhe karne dega.
Bajpai: Nagesh nahin to Pawan karayega cheating.
Hagga: Bole to
Bajpai: ACS subject hai. Class mein kisi ko kuch nahin aata hai. Second internal tak Pawan ko samajh mein aa jayega ki kisi ko kuch nahin aata hai aur cheating karwane ke alawa koi rasta nahin bachega. Hamein bas pehle internal mein 2 se jyada number nahin aane chahiye.
Shukla: Saale fail kar dega woh tere ko.
Bajpai: To abhi kaun sa paas hain hum. Waise hi thhuki hui kismat hai.
Hagga: Main isme Bajpai ke saath hun.
Noida: Aur Pramila. Tumhe aisa kyun lagta hai ki ACS mein Pramila invigilator banke nahin aa sakti.
{After hearing Pramila's name, Mitesh's eyes red with lust}
Hagga: Agar Pramila aayi phir to dekh lenge
Shukla: Yeh Pramila kaafi famous lagti hai. Kis kis ka chakkar hai uske saath. Bajpai?
Bajpai: Nahin mera nahin. Main to seedha saadha ladka hun.
Shukla: Noida tera?
Noida: Nahin. Mere taste ka level thoda oopar hai.
Hagga: OK. Then lets get back to the topic. Hum ACS ki padhai nahin karenge. Fail honge, cheat karenge Pawan ke consent se aur tabhi paas honge. Done.
{Kisi ne padhai nahin ki siwai Shukla ke. Sabki watt lag gayi external mein. Pramila ke saamne Tes-ji ke seductive tactics bhi kaam nahin aayi. After the exams,}
Shukla: Sabka kaisa gaya
{Noida disappears}
Bajpai: Meri to watt lag gayi. Lagta hai ab ghar mein chappal padegi.
{In hostel}
Bajpai: Bachcha I am in tension. Pata nahin kya hoga.
Noida: College ka usool hai. Exams ke baad aur result se pehle tension nahin lena ka. Sirf enjoy karna ka. Kuch khayega? Main ja raha hun Kabab Magic.
Bajpai: Nahin. Mere liye 3.5 Rs ka milk ka packet le aa.
{In the night, Noida is having chicken and Bajpai is having chai and sutta.}
{Then Noida goes to sleep and Bajpai still has tension along with chai and sutta}
{At around 3 am, Noida wakes up. bajpai is still having tension, chai and sutta. Noida eats the rest of the grilled chicken and sleeps again}
{On the day when results got out}
Bajpai: Main paas ho gaya. Main paas ho gaya.
Hagga: Main paas ho gaya. Main paas ho gaya.
Noida: Main paas ho gaya. Main paas ho gaya.
Shukla: Mujhe reval mein dena hai.
{To be conti-nude}
{The rest of the characters of Vovinhood will be coming to the limelight soon}
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment