Sumit - THE Sumit (shaadi se pehle at iBar):
Subeh hai uth-ta
Pappu se khelta
Nahin hai nahata
Na daadhi banata
Jo Sutta marta
to hai thhak jata
Chai hai peeta
Free ki attitude deta
Bakaiti dikhata
Amma se bolta 'Aeeta'
Office mein hai sher
aur apne boss pe roz garajta
Kisi bhi ladki ko dekhe to bole
Jaanemann kab de rahi ho nyota
Ghar se nikalte hue bole 'Main jaata'
Gana gata: (in punjabi)
O do naina ne kita hai sharaabi, ni mar gaye khade khade, oye aashiq bade bade
Sumit - APNA Sumit (shaadi ke baad, does not stay at iBar anymore):
Subeh hai uth-ta
Bed-tea hai peeta
Khud ko samajhta cheeta
Daadhi na banata
To daant (scolding) khata
Jo naa nahata
To daant (scolding) khata
Phir daadhi bana hi leta
Aur naha hi leta
Sutte ka soch ke
mann hi mann darta
Zimmedariyon ke bojh se dabta
Bachelor life ka soch ke hasta
Kabhi kabhi soch soch ke rota
Yun hota to kya hota
Abhi bhi office mein hai yeh sher
Par ab ban chuka hai shrota
Ab to aadat bhi hai mujhko
Kuch nahin bolta, sirf sunta
Ab kisi parayi ladki ko dekhe to
bas bole 'namaste mata'
Ab ghar se nikalte hue bole 'Main aata'
Ab gana gata:
Naino ki mat maniyo re, naino ki mat suniyo, naino ki mat suniyo re, Naina thhag lenge
Bhaiyon. Sumit ki maar lo. Sab mil ke maar lo. Dhyaan rahe focus loose na ho. Khol do Sumit ki aaj.
Inqalaab zindabaad. Zalaluddin iBar.
Gypsy. They call me 'Gypsy', soda with whiskey.
Monday, March 3, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment