Tuesday, January 22, 2008

Noida bhi shayar hai

Dil kabootar khana hai, har kisi ka aana jana hai
Bajpai factory mein kaam karta hai isliye uske paas baarah number ka pana hai
Duniya mein aayein hain to sabko ek na ek din jana hai
Par usse pehle mujhe bahaut saara chicken khana hai
Kya Sumit ne kal raat roti banane ke liye aata sana hai
Bajpai ke gaal mein ek daana hai
JayZ ki shaadi hogi yeh usne maana hai
Lekin paajigiri mein yeh sabka nana hai
VP Circle mein sukh-dukh ka tana bana hai
Jis din pyaar hoga us din mujhe ek gaana gana hai
Gowda ko India waapas aana hai
Par yeh Dollar badi kutti cheez hai, bada zaalim zamana hai
Kyunki waapas aa ke Gowda ko apne credit-card ka chukana harjana hai
Sumit helment ke andar pehenta bandana hai
Aur samajhta apne aap ko Kamal Sadana hai
Sumit apni madam ke liye ho chuka fanaa hai
Sumit ki biwi ko main aur JayZ chhedenge banke kaana hai ..... (kaana matlab one-eyed doston. Dimaag pe jyada zor na dalo)
Hum sab ko mil ke Bajpai ke liye dulhin lana hai
Ha ha, Sumit kya tumhe aaj phir mila bhabhiji se mila taana hai
Batao batao kiske hone wale bete ka naam rana hai




Duniya ne bhauat gaaliyan di par hum chup-chap sunte rahe
Bahaut sitam dhaaye humpe par hum sab kuch sehte rahe
Hamdardon ne bola bata kyun nahin deta ki asli bewafa kaun hai
Humne bola ki naam unka uchlega isliye hum chup-chap rahe

No comments: