Thursday, March 27, 2008
BACHHA IS BACK....DIRECT FROM NOIDAs HEART..
Bewdon ke hain saare thheke, hai mera bar kahan
Aankhein gili zabaan pyaasi, ho kuch to raham khuda
Ho ho ho mera Fosters to dila
Ho ho ho ek milds de pila
Hai do ghunt ki hi pyaas, par hai talab bada
Fefda mera sookh gaya, koi to sutta pila
Bhaukali to de di, ab pennyless hai batua mera
Aaj udhaar de de, kal doonga chuka
Bewdon ke hain saare thheke, hai mera bar kahan
Aankhein gili zabaan pyaasi, ho kuch to raham khuda
Ho ho ho mera Fosters to dila
Ho ho ho ek milds de pila
Kaam ke farz ko hum nibhaye jaate hain
Duniya ke taane sab kuch sahte hain
Bewda, dhaunk-ni bole humko sanam
Sab kuch to hai sun liya, ab to de pilaaaa…….
Ho ho ho mera Fosters to dila
Ho ho ho ek milds de pila
Dil-e-nadan mane ab na, hai zid pe ye adaa
Ek bottle pila de ya phir baat karna kabhi na
Be-company hai mera peena
Fosters dila de phir bhaad mein jaaa…..
Ho ho ho mera Fosters to dila
Ho ho ho ek milds de pila
Ho ho ho tune kab pilaya mat gina
Aage badho, iBar waalon aage badho
Gypsy. They call me ‘Gypsy’, soda with whiskey.
answers ...GUESS..???? still no right... answers....
I can smell some things…..and feel these dialogues belong to Kannada Movies. But in any case these are from bollywood this must come from the mouth of our own legend & great
MITHUN DA.
.....AIE SAALA…….TERE NAAM KA KUTTA BHI NA PAALU……………………..KOI……. SHAKK……
AN OPEN OFFER FROM ABHI......GRAB it....
Koiiii Haiiii???
Just want to keep this going....I am not talented enough to write Shayri's.
So here is a quiz.....Please answer who said this to whom??
1-Dikhne me bewada, daudne me ghoda, aur maarne me hathoda hoon main
2-Hum aise laashen bicha denge jaise kisi nanhe munhe bacche ke nunhi se pesaab tapakta
hain—tap tap
3-Mere naam hain Heera, chakoo se bullet ko cheera
A bottle of scotch home delivered for anyone who can get all 3 right!!!!
Abhi
Abhis poet...mind ith..
Itna Sanaatha Kyon Hai Bhai......
This piece is dedicated to Sumit & DJ, the folks who are married & to Noidwa, Bajpai, Jayz & Paul who would soon be getting married 'Arranged Marriage Style'..Unless a life changing event happens & all of u end up with a GF ;-)
MARRIAGE
Another turning point
A fork stuck in the road
Time grabs you by the wrist
Directs you where to go
So make the best of this test
And don't ask whyIt's not a question
But a lesson learned in time
For what it's worth
It was worth all the while
It's something unpredictable
But in the end is rightI
hope you had the time of your life
-Good Riddance (Time Of Your Life)
Monday, March 3, 2008
galatfahmi door.......bachha kii
Baat ye hai kii meri di hui gaali nuidaah ke rago me daud rahe paani me ubaal la sakti hai kii nahi…
Aur nuidaah kuvari ladki ya bachhi ka pahla chumban uske premi yani nuidaah ke liye hota hai….
Aur hum koi gunda nahi hai ,,,chatra neta hai….maare seeti hazaar lounda khada ho jayega…
Aur nuidaaah tumse aab goli na chalegi…..likh lo , jaan lo samajh le…..aab tum mantar fook ke hi maroge…
Aur tum to nanhe munne rahi ho…..bachhaa…
Tunhe to data dege to mar jaoge…aur agar gaali de di to…..u kno…hhehehehehe don t u……
Chalo aab nikal lev…..jeans ke ooper lal chaddhi pahan ne se koi fantom nahi hota….
Hum yuva hai …aur yuva ka ulta hota hai vayu….matlab hawa…..fook de ge to ..keane ke head quarter me giroge…
Aur DJ aur mamu bhi tumhe US me bacha an paayege…
Take care …u r precious…..heheheheheheh jst kiddin…..
bachha ki galatfahmi.......
Main yeh nahin kehta ki 'Insaaf khuda karta hai aur usse tujhe main milwaunga'.
Main yeh nahin kehta ki 'Rishte mein to hum tumhare kuch nahin lagte par naam hai Jalaludidn Noida'.
Main yeh nahin kehta ki 'Na bomb se na talwar se, banda darta hai to bas parwadigaar se'.
Main yeh nahin kehta ki 'Tum aaye thhe 2 paanw (legs) pe par jaoge chaar kandhon pe'.
Main yeh nahin kehta ki 'Tumne is jail ke deewarein dekhi hain par Noida ke seene ka faulad nahin dekha jailor'.
Main yeh nahin kehta ki 'Main aaj bhi roadside uthaigire ko dost nahin banata'.
Main yeh nahin kehta ki 'Jab dushman ki salary badhne lage to usko dost bana lena chahiye'.
Main yeh nahin kehta ki 'Gaali to tumhe nahin dena aata Sumit, tum bolte to main 2-3 gaaliyan aur sun leta'.
Balwant Rai ke kutte
Main yeh nahin kehta ki 'Dil kabootar-khana hai, har kisi ka aana jana hai'.
Main yeh nahin kehta ki 'Ab yeh cigarette main tumhare jeb se nikal ke hi piunga'.
Main yeh nahin kehta ki 'Tum mujhe wahan dhoond rahe ho aur main yahan Noida mein baitha hun'.
Main yeh nahin kehta ki 'Agar tum chor na hote to hum bahaut achche dost hote'.
Main yeh nahin kehta ki 'Mujhe do type ki ladkiyan pasand nahin - ek jo girlfriend nahin banti aur doosri woh jo bhabhiji ban jaati hain'.
Main bas itna kehta hun ki
Sumit. Nazdeek ke fayde (chutiya, gandu jaisi gaaliyan) se pehle door ka nuksaan (maa behen ki gaaliyan in reply) soch lena chahiye.
Noida ki marna mushkil hi nahin namumkin hai.
bachha ka badla(revenge)
Subeh hai uth-ta
Pappu se khelta
Nahin hai nahata
Na daadhi banata
Jo Sutta marta
to hai thhak jata
Chai hai peeta
Free ki attitude deta
Bakaiti dikhata
Amma se bolta 'Aeeta'
Office mein hai sher
aur apne boss pe roz garajta
Kisi bhi ladki ko dekhe to bole
Jaanemann kab de rahi ho nyota
Ghar se nikalte hue bole 'Main jaata'
Gana gata: (in punjabi)
O do naina ne kita hai sharaabi, ni mar gaye khade khade, oye aashiq bade bade
Sumit - APNA Sumit (shaadi ke baad, does not stay at iBar anymore):
Subeh hai uth-ta
Bed-tea hai peeta
Khud ko samajhta cheeta
Daadhi na banata
To daant (scolding) khata
Jo naa nahata
To daant (scolding) khata
Phir daadhi bana hi leta
Aur naha hi leta
Sutte ka soch ke
mann hi mann darta
Zimmedariyon ke bojh se dabta
Bachelor life ka soch ke hasta
Kabhi kabhi soch soch ke rota
Yun hota to kya hota
Abhi bhi office mein hai yeh sher
Par ab ban chuka hai shrota
Ab to aadat bhi hai mujhko
Kuch nahin bolta, sirf sunta
Ab kisi parayi ladki ko dekhe to
bas bole 'namaste mata'
Ab ghar se nikalte hue bole 'Main aata'
Ab gana gata:
Naino ki mat maniyo re, naino ki mat suniyo, naino ki mat suniyo re, Naina thhag lenge
Bhaiyon. Sumit ki maar lo. Sab mil ke maar lo. Dhyaan rahe focus loose na ho. Khol do Sumit ki aaj.
Inqalaab zindabaad. Zalaluddin iBar.
Gypsy. They call me 'Gypsy', soda with whiskey.