Thursday, May 15, 2008

TASHAN

Itna sannata kyun hai bhai. Sab apni-apni life mein busy ho gaye aur Vovinhood ko bhool gaye.
Kahan gaye who log jo Circle aur iBar ki baat kiya karte thhe.
Hey Mamu! kahan hai. Bajpaiyaa! Kaun sa city mein hai be abhi.
Sumit! Bade matlabi ho gaye ho yaar. Paul! You are dead or alive.
Lalhaun saale reply kyun nahin karta kabhi. JayZ! Karega be reply patna se.
DJ! Tera to acceptable hai. Abhi to tere ghar mein bahaut khushi hai. Yahan to hum gam baant-te hain.

Achcha bhaiyon. Tashan ke dialogues hamare apne shabdon mein.




Ramchandra ji kah gaye Siya se aisa kalyug aayega
Train mein chadhne se pehle shayari ki kitaab khareeda jayega
Na chahte hue bhi sabko sunaya jayega
Sabka mood off hoga par yeh akela hasta jayega
Besharmi se shayari sunane mein nahin hota koi hesitation
Yeh hai ganga kinare wale Sumitwa ka Tashan

Apni company ke liye poora India ghoomta jayega
Lunch hyderabad, dinner Mumbai mein khayega
Daru peene se pehle ek cup chai banayega
Aur sabko apne photos ka database dikhayega
Bike park karne ke liye fixed hai iska location
Kabhi na kadwa bolne wale Bajpaiyaa ka yehi to hai Tashan

Life is strange, people are stranger
He is on the move always, he is a ranger
Zinda rehne ke liye badalta hai yeh fashion
Petrol pump ko bolta hai gas-station
Kahin aur naukri nahin lagi though he has a good qualification
No cash, only credit card waale Paul ka yehi to hai Tashan

Suraj to pehna doon chashma, chaand ko andha kar doon
Par jab khud pehenna ho chashma to credit card dhoondun
Chicken khaane mein kabhi na bartoon kutaahi
Sote hue koi utha de to macha doon tabaahi
Caritor ne kiya hai Keane ka acquisition
Noida ke Noida ka yehi to hai Tashan

No comments: